
Ek gareeb mochi din raat mehnat karke apne betay Chhotu ko padhane ki koshish kar raha tha. Chhotu ka sapna ek bada doctor banne ka tha, lekin unki sakht ghareebi is sapne ke raaste mein sab se badi mushkil ban chuki thi. Baap betay ki yeh mehnat aur lagan dekh kar har koi udaas ho jata tha.
Aise waqt mein unki zindagi mein Sheru Bhai ki aamad hoti hai. Sheru ne na sirf us gareeb mochi ki choti si dukan ko ek shandar luxury showroom mein badal diya, balkay Chhotu ki doctori ki padhai ka poora kharch uthane ka wada bhi kiya. Kya aapko lagta hai ke asli ameeri doosron ki madad karne mein hoti hai?
0 Comments