
Jungle me sabhi janwar aapas me baatein kar rahe the ki duniya me sab se bada ameer kaun ho sakta hai. Kuch log trillionaire ki baat kar rahe the, lekin jab apna Sheru bhai samne aaya toh sab ki bolti band ho gayi. Sheru bhai ki shaan aur unka swag alag hi level ka hai, jiske samne bade se bada ameer bhi pheeka pad jata hai.
Ankit Comedian ne is mazedaar kahani ko bohat hi shandar aur funny andaaz me paesh kiya hai. Sheru bhai ki yeh chalaaki aur funny moments dekh kar koi bhi apni hansi nahi rok payega. Kya aapko lagta hai ki Sheru bhai sach me sab se zyada ameer hain?
0 Comments