
Jungle ke maidan mein jab dono dragons aamne saamne aye, to sab heran reh gaye. Tiger ka dragon aag barsa raha tha aur usne socha ke jeet uski hi hogi. Lekin Sheru Bhai ke dragon ne aisi roshni aur taqat dikhayi ke poora jungle kaanp utha.
Sheru ke dragon ka josh dekh kar Tiger ka dragon foran peechay hatne par majboor ho gaya. Sheru ke dragon ne aisi zabardast taqat dikhayi ke Tiger ki sari chalakiyan dharri ki dharri reh gayin aur sab ko Sheru ki quwwat ka andaza ho gaya. Ab dekhna yeh hoga ke kya Tiger apni haar tasleem kar lega ya koi naya hungama khara karega?
0 Comments